Lahore ( khabrain digital ) tusha khana case may graftar chairmen pakistan tharikay inshaf ki atak jael may phali raat kasay guzari , tafsilat samnay a gaie.
Zaray kay mutabik chairmen pti tharikay inhsaf nay phali raat atak jael ki high secourti barak may guzari , chairmen pti ko raat ka khana or subha ka brakfast jael kay menyoual kay mutabik diya gaya, sabak waziraziam ko namaz fajer kay baad brakfast may bread salice , bowile howa egg, better or tea di gai.
jael zaray nay batya ha kay chairmen PTI nay raat ko kuch hisa reast kar kay guzara , wo namaz thajod kay liya bi authay, or namaz fajer ada kar kay jael ka muhaiya karda brakfast bi kiya, chairmen PTI ko jael menyoual kay mutabik digar saholayat tawel , tissue paper , minral water , glasses , tasbih , watch , chair , table , zameen per sonay kay liya matres frahim kiya gaya ha .
Zaray ka khana ha kay dustrakat jael atack may sabik wazirazaim nawaz sharif samyat sabik wazray alla o digher sayasi shakisiat may past may kaid kar chuki hain, chairmen pti ko bi isi secouriti barak may rakha gaya ha jahay miya nawaz sharif bi kuch arsa kaid rahay .
Jail kay zaray kay mutabik sabik waziraziam nawaz sharif ko kad kay doran bilter class may rakha gaya tha jiss may tv, akhbar lakhinay parhnay kay liya books , stantishnery , air condition ya room koler , chuta frig o bister or mushkatiyon ki ijazat hoti ha taham chairmen PTI kay liya in sholiyat ko home departament ya adalat ki ijazat say mushrat kiya gaya ha .
Zaray ka mazid khana ha kay dustrakat jail atack kay ander or baroni atraf may secouriti high aleart ha , chairmen PTI jiss barak may kaid ha iss kay gird mahkama jael khana jaat kay comandoes or bhair jael police kay ahlakar taniyat hain , jael kay baroni atraf zali police or rangries ki petroling bi jari ha.