Lahore ( khabrain digital ) adakara anmol bloch nay khah ha kay ma washroom may ja kar roti thi , khati thi kay mujhay ya kam nahi karna lakin aglay din khud hi tayar ho kar shout per chali jati thi kay aj tak dant nahi paray gi , asay kartay kartay ma akhir sikh gai.
Apnay ak enterview may anmol bloch nay batya kay may nay adakari ki koi tarbiyat hasal nahi ki , na khabi school or collage kay dramay may sharik hoi , lakin mujhay adakari ka shuj tha .
adakarah nay batya kay ma nay facebook per ID bani or iss per acter ka topic day kar kuch salfies laga day lakin iss wakat tak meray pass koi kam nahi tha , diracter muhassan mirza nay mujhay call ki or khah kay mera ak projuct chal raha ha , is may ak kardar ha or na mujhay asa lagta ha kay wo app kar sakti ha.
Adakara ka khana tha kay may nay socha nahi kon hain , mazak kar rahay ha , may nay pher in ki perfiel dakhi , aunoho nay kafi projakts kiya hoy thay may nay ami say pucha to aunoho nay khah kay nahi nahi , kya ho gaya ha tumhay .
Aunohoy nay khah kay waldha ki mukhalafat kay bawajod may nay muhassan mirza say rabta kiya or pucha kay ana ha , jiss per jawab mila kay ghar ajay , ma thor narwas hoi kue kay shut kay liya affoice bulana chaiya tha , iss per muhssan mirza nay khah kay bata meray ghar may shut hota ha or agay jo projact kar raha ho is ki secrat reading bhi hoti ha , app yaha ajay.
In ka khana tha kay iss kay baad walda ko lay kar in kay ghar chli gai , bass waha say ya silsla start hoya or muhssan mirza nay mujhay ak kardar diya , is kay bad may nay arfan aslam ka drama seral "kam bkhat tanu " kya , is may mera chota kardar tha .
Aunho nay inkashaf kiya kay jab kaam start kiya to bhut sari danat khai or batay bi suni kay srif achi shakal honay say acter nahi ban jatay , acter kay liya acting ana bi zarori ha , tum say nahi ho ga.