Islamabad :(khabray digital) adlat may tusa khana fojadary kis may chairmen PTI ki durkhwast mustarad kartay hoay ainhay 342 ka bayan kalmbad karwanay kay liya kal zati hasiyat may talab kar liya ha.
durnay samat sabiq wazirazaim ka wakeel khwhaja haras nay apnay dalil ma khah ha afsos ki baat ha kay highcourt ma mamla painding tha or yaha karwai chali jati rahi , chairmen pti ko highcourt ki dairy branch say nab nay authaya ,aglay din police line ma adalat laga kar pash kar diya gaya,ghar kanoni tor per griftar kiya gaya or is adalat ma pash kiya gaya , police line pashi per fard jurm aied ki gai. wakil khwaja haras nay mazid khah kay fard jurm ki karwi per tin atirazayt hai , jis per jag hamayo dilwer nay istansar kiya kay ya is din ka wakiy ha jab fard jurm aied hoya or ap ki janab say khah gaya kay authay authay , aliktion kamision ka wakeel amjad perwaz ki tasdeeq kartay hoya khah gi isy din ka wakia ha jab fard jurm ki hai thi.
wakeel khawja haras nay khah kay sahion adlat nay chairmen pti kay samanay farad jurm bhi nahi parhi , ma nay khabi samat ka baikat nahi ki . asa khah bhi kasay saktay ha , chairmen pti per koi farad jurm aied nahi hoya , ma bar bar khata ho , jis per jaj hamyo dilawer nay khah kay apna afadyout jama karway gay kay fard jurm chairmen pti ko parhya gaya.
wakeel khawaja haras nay khah kay afsos hoya tha kay mamla highcourt ma zara altwa tha or sahion adlat ma samat jari rahi , farad jurm kay hawlwy say bhi chairmen pti ka hak roka gaya . in ko sahion adlat ki police line per muntakali per bi atraz hoa tha chairmen pti ko ghair kanoni tor per griftar kar kay fard jurm kay liya adlat pash kiya gaya.
chairmen pti kay wakeel nay khah kay jab hum adlat say bhar chalay gaya to farad jurm peraha gaya , 7 din diya gaya thay kay is kase ka fasla kiya jay , ma nay darkhwast di kay samyat monday tak maltvi ki jaya lakin wo jari istdamustard ki gai , highcourt nay 7 din diya or is adlat nay tesray din fasla kar diya , is adlat ma 15 minete may fasla jari kar diya .
khwaja haras nay mazyad khah kay kasr kable samat honay kay mamlay per samat kay trika kar per atraz authya , jis per jaj hamyo dilower nay istansar kiya kay sahion adlat nay ap ko zabrdasti khah tha kay kabal samat honay kay mamlay per dalil dainy? ap dalil bi datay rahay , chay bi patiya rahay , yaha junier wakeel bi majood hain , amendary dakhay , wakeel khawaja haras nay jawab ma khah ma amendary dakha raha ho , jaj hamyo dilower nay dobra khah kay ap amendary nahi daka rahay , kuch or dakha rahay ha .
chairmen pti kay wakeel khawaja haras nay apnay dalil ma khah kay ap hamsha tarikhay gintay hain chaliyo ko kon ginta ha , eid or ashora may kasay wakla say kam kar nay ki touqa ki ja sakti ha? kkya tusa khana kay kase ma janmbdary nazar nahi a rahi ?
chairmen pti kay damaz ma adlat ki janab say asa taser bana diya gaya , ha in ka adwati hak mutaser kiya ja raha ha.
khawaja haras nay mazyid khah kay chairmen pti nay alaktion kamision kay ghoyn say bayan ka racord manga tha , sahion adalat kay faslo kay hawlay say mukhtlif adlato may bhag rahay hain , majoda wakat may sahion adlat kay hawlay say 7 apilo ki darkhwast highcourt ma zaray altya ma chairmeb pti kay samnay ak taser ha kay sahion adlat jald fasla sana kar chati ha kay tamam aplay ghar mouser ho jay .
ounay nay khah kay ap khatay ha aj fasla sana do ga , kal nahi sono ga , kal fasla ho jay ga sahion adlat nay khud hi mujhay ghon kay bayan recourd kartay waqat numanday mukarar kar diya , asay halat ma sahion adlat say insaf ki twaka kasay ki ja sakti ha.
alaction kamission kay wakeel amjad perwaz kay dalil.
khwaja haras ke gnab say wair darkhwast ke mokhlfat may alaction kamission ka wakeel amjad perwaz ka dallil ma kaha ka wo transfar ke darkhwast or 5 apelay islambad highkot may zaraaltaya ha tamam darkhwasta or apelo ka maksad sasion adalat ma asty mangnay ka ha supreemkot say ack din ka asty mangna ha lakin istda mostard kar de gai ` hae dira darkhwast kay sath asty ke astda ha kanon sab kay lia yaksa ha . amjad perwaz na mazed kaha ka mogada sortahal ka motabek sasion adalat trail gare rakh sakte ha abhi taral gare ha 'fasla gare nahi howa' trail gare rakhna say nahi roka ga skta' fard jurim aid hona par ag phali bar atraz sacion adalat ma othaia' ya highkot gai or motmain kary fard jurim galat aid ke gai chairmen pti na to khad aiastion kamission ma apnay asasa gat darg karwaiya ga . alaction kamission ka wakeel na kaha ka serf 342 ka byan rekude karwana 'in ka to apna byan ha jo alaction kamission may gma ha' har taril ma mulzim ke hazere zarore ha' chairmen pti kay ganab say ktne astesne ke darkhwastay diar hoi sab ka samna ha 'anho na gawab dana ha 'go in ka apna alfaz ma adalt lakha ge' chairmen pti na apna wokla ka hamrah khara o kar gawab dair karna ha . wakeel amjad perwaz na mazed kaha kay maze ko samna rakhta howaysmat maltaya karna ke darkhwast ka koi gawaz nai'alasion kamission ka wakeel na smat matawa karta howy kaha ka chairmen pti seraf takhere harbay istmal karna chatay ha.jaj hamayo dilawer kay remarks.
doran samayt jaj hamyo dilower nay apnay remarks may khah kay aj chairmen pti ka bayan kalmbond karnay kay liya samyat mustard thi , aj tesra din 342 ka bayn record karwanay kay liya tayene tha , chairmen pti kay wakla nay 342 kay bayan ki samayt maltvi karnay ki durkhwast wire ki , chairmen pti kay apnay wakeel khawja haras kay hamra adlat pash hoya.
moziz jaj nay mazid kha kay pti ki janab say bayan kalmbad karnay kay liya kuch waqat manganay ki durkhwast wire ki , chairmen pti or in kay waqla ko 342 kay bayan kalmoband karwanay kay liya kafi waqat diya giya .
jaj hamyo dilower nay apnay remarks may mazid khah kay chairmen pti kay wakeel nay 3 may kay bad say samatyo kay faslay adalat may parhay , chairmewn pti kay wakla kay mutabik tazi say trial chal rahi ha wakla kay mutabik tazi say trial chalnay per ghar janbadary say trial nahi chal raha , chairmen pti nay bi sacion adalt per atmad ka izhar nahi kiya , sacion adalat nay asi hi darkhwast phalay bhi mustard ki hain .
muziz jaj nay khah kay asi durkhwasto ka maqsad trial ko takhair ka shakir bana ha , chairmen pti or in kay senior wakeel khwaja haras ka rawvia adlat ky samnay aya ha , chairmen or wakeel khawja haras nay adlat ko sarif mayous kiya ha , chairmen kay waqla ka maqsad takhari harbay istamal karna tha , chairmen or in kay waqla adalat ko srif mayous karna chataya ha , adlat nay dono janab say dalil sunanay kay bad pti ko 342 ka bayan kalmbond karwanay ki hadyat kartay hoya mazid samyat kai 9 bajay tak maltvi kar di.