Lahore ( khabray digital) wafaki tahkikati agensi (FIA) nay online loan app kay zariya frad karnay waloy kay khalaf bari karwai kartay hoy groh kay sarbrah ka graftar kar liya ha.
Is zaman may tarjuman FIA nay batya ha kay groh ka sarbrah ghar mulki shari ha jiss nay abtadi taftish may hundrads logo say frad karnay ka atraf kar liya ha .
tarjuman FIA nay dawa kiya ha kay graftar kiya janay wala mulzim pakistan may online loan app kay zariya frad karnay walo ka sarbrah ha .
FIA kay tarjuman ka khana ha kay iss hawlay say bakaida mukadma bi daraj kar kay taftish ka agaz kar diya gaya ha .
Waziha rahay kay pakistan may online loan apps kay zariyay hundrads pakistaniyo kay sath kiya janay walay frad dokha dahi kay cases media per twater kay sath report ho rahay hain.
gushita dino may ya afsosnak wakia bi samnay aya aya tha kay rawelpandi kay ak shahri nay online loan app kay zariya 13 thousands rupees karza liya tha , jo frad kay zariya atna barha diya gaya kay iss nay majbor ho kar khudkushi kar li .
Khudkushi kay wakiya kay baad ahkam nay waziah tor per iss ghar kanoni kam kay khalif kanoni karwai karnay ki waziya hadayat jari kie jiss kay baad FIA nay ikdamat authay hain.