Islamabad (khabray digital ) wazirazam shahbazsharif ki zaray sadrat ithadi jamato kay vedio link kay ijlass may ismbliyo ki thalil 9 august ko karnay per tamam rahnmyo nay itfak kar liya.
negran wazirazim ki takriri mumalay per wazirazim shahbaz sharif ki zaray sadrat ithadiyo kay vedio link ijlas may 4 nakti agenday per ghor kiya gaya , ithadi jamato kay darmyan negran wazirazam , nai mardum shumary , zamni inthakabat or isambliyo ki thalil per mushwarat hoi.
zaray kay mutabik ithadi jamato kay rahnomoy nay is bat per itfak kiya kay alaction wakat per honay chahiya , mardum shumary kay mamlay per mushtraka mufadat konsal jo fasla day gi kabol ho ga.
zaray nay batya kay ijlass zamni inthakabat ka mamla negran hukumat per dal diya , shurka ka khana tha kay negran hukumat aienda kay zamni inthakabat kay mamlat ko khud lay gi, ithadiyo nay ray di kay waziraziam or appozition apas may mushawarat say negran waziraziam ka inthkab kar lay gay.
ijlass may blochistan say justice retaired shkeel bloch ka negran wazirazam kay liya tajwiz kiya giya , negran waziraziam kay liya sabik gowerner docter ishrat alabad ka name bi zaray gor aya jabkay MQM nay negran waziraziam kay name oer mazid mushwarat kay liya wakat mang liya .
zaray ka khana ha kay waziraziam shahbazsharif nay negran waziraziam say mutalik ithadiyo say aj raat tak tajawiz mang lay , wazirazam nay is fan may khah kay jo tajwiz dana chahay wo aj raat tak mujh say rabta kar sakta ha , iklas may muhassan davor nay bi negran waziraziam kay liya 2 name tajwiz kiya.